Mumkin jo agar hota hum tumko bhula daytay
Yadoon ko kafan day kar bay waqt sula daytay
Tanhayee may jee laytay tumko na sada daytay
Is dil say tayray dil tak deewar utha daytay
Sanson key hararat say sazon ko jaga daytay
Hum tumko bhula daytay..... hum tumko bhula daytay
Tuesday, October 28, 2008
magar wo haar jatee hay
Muhabat jeet hote hay magar wo haar jatee hay
Kabhi dil soz lamhon say kabhi baykhabar rasmon say
Kabhi taqdeer walon say kabhi majboor qasmon say
Kabhi yeh phool jayse hay kabhi yeh dhool jayse hay
kabhi yeh chand jayse hay kabhi yeh dhoop jayse hay
Kabhi masroor karte hay kabhi yeh roag dayte hay
Kise ka chain layte hay kise ko roll dayte hay
Kabhi lay paar jate hay kabhi yeh mar jate hay
Muhabat jeet hote hay magar yeh har jate hay

Sunday, October 26, 2008
Khaamoshii guftagu hai, bezubaanii hai zabaan merii
nahii minnat-kash-e-taab-e-shaniidan daastaan merii
Khaamoshii guftagu hai, bezubaanii hai zabaan merii
ye dastuur-e-zabaan-bandii hai kaisii terii mahafil mein
yahaan to baat karane ko tarastii hai zaban merii
uthaaye kuchh varaq laalay ne, kuchh naragis ne, kuchh gul ne,
chaman mein har taraf bikharii huii hai daastaan merii
uudaa lii kumariyon ne, tuutiyon ne, andaliibon ne,
chaman vaalon ne mil kar luut lii tarz-e-fugaan merii
Tapak aiy shama aansuu ban ke paravaane kii aankhon se
saraapaa dard huun, hasarat bharii hai daastaan merii
ilaahii phir mazaa kyaa hai yahaan duniyaa mein rahane kaa
hayaat-e-jaavidaan merii na marg-e-naagahaan merii...

Friday, October 17, 2008
Sab Say Chuppa Ker Dard.....!!!
Sab Say Chuppa Ker Dard, Jo Woh Muskura Diya
Us Ki Hansi Nay To Aaj Mujhay Rulla Diya
Lehjey Say Uth Raha Tha Her Ik Dard Ka Duhan
Chehra Bata Raha Tha Kay Kuch Ganwa Diya
Awaz Main Thehrao Tha Aankhon Main Nammi Thi
Aur Keh Raha Tha K Main Ne Sab Kuch Bhulla Diya
Janey Kiya Usko Logoon Sey Thein Shikayaten
Tanhaiyon Kay Dais Main Khud Ko Basa Diya
Khud Bhi Woh Hum se Bicher Ker Aadhura Sa Ho Gaya
Mujh Ko Bhi Itnay Logon Main Tanha Bana Diya...

Ab ke hum bichre ....!!!
Ab ke hum bichre to shayad kabhi khwabon mein milein
Jis tarah sookhey hue phool kitabon mein milein
Dhoond ujray hue logon mein wafa ke moti
Yeh khazane tujhe mumkin hai kharabon mein milein
Ghum-e-duniya bhi ghum-e-yaar mein shamil karloon
Nasha badhta hai sharabein jo sharabon mein milein
Tu Khudah hai na mera ishq Farishton jaisa
Dono insaan hain to kyun hijabon mein milein
Aaj hum dar yeh khainchein ge jin baaton par
Kya ajab kal woh zamane ko naseebon mein milein
Ab na woh hain, na woh tu hai, na woh mazzey hain Faraz
Jaise do shakhs tamanna ke sailabon mein milein

Meri Dastaan-e-hasarat
Meri Dastaan-e-hasarat Vo Suna Suna Ke Rooye
Mere Azmaane Vale Mujhe Azmaa Ke Rooye
Koi Aisa Ahal-e-dil Ho Ke Fasanaa-e-muhabbat
Main Use Suna Ke Roun Woh Mujhe Suna Ke Rooye
Meri Arzoo Ki Duniyaa Dil-e-naatavaan Ki Hasrat
Jise Kho Ke Shaadamaan They Use Aj Paa Ke Rooye
Teri Bewafaiyoun Per Teri Kajadaaiyon Per
Khabhi Sir Jhuka Ke Rooye Khabhi Moun Chupa Ke Rooye
Jo Sunai Anjuman Mein Shab-e-gam Ki Ap Beeti
Koi Ro Ke Muskuraye Koi Muskura Ke Rooye

Ye Dard Tum Ne Diya Hai To Koi Baat Nahi
Yehi Wafa Ka Silah Hai To Koi Baat Nahi
Ye Dard Tum Ne Diya Hai To Koi Baat Nahi
Yehi Buhat Hai Ke Tum Deekhte Ho Sahil Se
Safeena Doob Raha Hai To Koi Baat Nahi
Rakha Tha Aashiyana-e-dil Main Chupa Ke Tum Ko
Woh Ghar Tum Ne Choor Diya Hai To Koi Baat Nahi
Tum Hi Ne Aayeena-e-dil Mera Banaya Tha
Tum Hi Ne Toor Diya Hai To Koi Baat Nahi
Kise Majaal Kahe Koi Mujh Ko Deewana Agar
Ye Tum Ne Kaha Hai To Koi Baat Nahi.
Maat Pooch Ke Maat Pooch Ke Kahan Jaker Dil Laga Liya Hum Ne
Maat Pooch Ke Kahan Jaker Dil Laga Liya Hum Ne
Khud Pei Heraan Hein Ye Kya Ker Diya Hum Ne
Hum To Pehle Hi Tanha The Mager Us Ki Chahat Main
Khud Ko Khuch Or Tanha Bana Liya Hum Ne
Her Ahat Pei Tere Ane Ka Tasawor Kia Hum Ne
Her Saat ( ساعت ) Ko Tera Intezaar Kia Hum Ne
Musafir Hein Chale Jayein Ge Mager Khuch Muddat Ke Liye
Tere Dil Main Apna Gher Bana Liya Hum Ne
Tujhe Paane Ki Akhri Umeed Bhi Khatam Howi
Tasawor Ko Tere Shairy Bana Liya Hum Ne.

Tum Ager Mujh Ko Na Chaho To Koi Baat Nahin

Tum Kisi Or Ko Chaho Gi To Mushkil Hogi
Ab Ager Mail Nahin Hai To Judai Bhi Nahin
Baat Toori Bhi Nahin Tum Ne Banai Bhi Nahin
Ye Sahara Bhi Bohot Hai Mere Jeene Ke Liye
Tum Ager Meri Nahin Ho To Parai Bhi Nahin
Mere Dil Ko Na Saraho To Koi Baat Nahin
Geer Ke Dil Ko Saraho Gi To Mushkil Hogi
Tum Haseen Ho Tumhein Sab Pyaar Hi Kerte Hongein
Main Jo Marta Houn To Kya Or Bhi Marte Hongein
Sab Ki Ankhoun Main Isi Shook Ka Tufaan Hoga
Sab Ke Seene Main Yehi Dard Ubharte Hongein
Mere Gum Main Na Karaho To Koi Baat Nahin
Or Ke Gum Main Karaho Gi To Mushkil Hogi
Phool Ki Tarhaan Haso, Sab Ki Nigahoun Main Raho
Apni Masoom Jawani Ki Panahoun Main Raho
Mujh Ko Woh Din Na Deekhana, Tumhein Apni Hi Kasam
Main Tarasta Rahoun Tum Geer Ki Bahoun Main Raho
Tum Jo Mujh Se Na Nibaho To Koi Baat Nahin
Kisi Dushman Se Nibaho Gi To Mushkil Hogi.

Kah Rey hain hijar k lamhaat uss se keh daina
Bikhar rahi hai meri zaat uss se keh daina
Hawaaye musam-e-gham uss k shaher jaaye tou
Meray dukhoon ki koi baat uss se keh daina
Ye wehshattein ye udaasi ye ratjaggoon ka azaab
Uss ki hain ye innayaat uss se keh daina
Bohat taveel bohat karabnaak hoti hai
Judaaiyoon ki har ik raat uss se keh daina
Woh dil ki baazi jahan mujh se jeetna chahey
Mein maan loon ga waheen maat uss se keh daina
Wafa ki raah main, mein aaj bhi akeli hoon
Koi nahin hai meray saath uss se keh daina
Jahan ye adal ki zanjeer naseeb hai Waheen
Katey hain meray haath uss se keh daina

''Aye Door Nagar Kay Banjaray''
Aye Door Nagar Kay Banjaray, Gar Chor Kay Aisaa Jana Thaa....Kyon Chah Kii Raah Dikhanii Thii, Kyon Pyaar Ka Haath Barhana Thaa...Hai Duniya Kay Hungamon Main, Rangeeny Bhi Ra'naii Bhi....Har Cheez Yahan Kii Pyaari Hai, Mehroomi Bhi Rooswaii Bhi....Saab Log Yahan Par Qismat Kay, Baytor Thaparay Sehtay Hain...Par Jeetay Hain Aur Jeenay Kii, Ik Aas Say Chimtay Rehtay Hain...Aur Too To Ik Khiladi Thaa, Kyon Khel Hee Say Moon Mor Liya...Kyon Jaan kii Baazi Haar Gaya, Kyon Umer Ka Rishta Tor Liya...Go Janay Kay Mushtaq Yahan, Hum Jaiasay Lakh Becharay Hon...Woh Log Hee Rukhsat Hotay Hain, Jo Log Kay Saab Ko Pyaaray Hon...Is Jag Kii Raat Andheri Main, Ik Tara Thaa Woh Doob Gaya...Aur Waday Saath Nibhanay Kay, Saab Bhool Bhola Kar Khoob Gaya...Aa Mehfil Chup Chup Bethi Hai, Aa Mehfil Ka Jee Shaad Karain...Woh Log Jo Tere Aashiq Hain, Kay Roz Say Tujh Ko Yaad karain....Woh Thor Thikanay Doondh Aaye , Woh Manzil Manzil Choo Aye...Aab Aas Lagaye Bethay Hain , Kaab Dastak Ho Kab Tu Aye....
Meray haathon ki lakeeron mein
Kuch teray naam hain
Meray haathon ki lakeeron mein
kuch meri daastan-e-gham hai
kuch meri kismat ka dhoka hai
meri bend almaari mein
kuch teri yaadein band hain
kuch teri bewafayon ke saboot zabt hain
meri shelf mein rekhi hoi kitaboon mein
kuch shairi teray naam hai
aur aaj meri diary ke sefhay per
ek nazm teray naam hai.....
Meray haathon ki lakeeron mein
kuch meri daastan-e-gham hai
kuch meri kismat ka dhoka hai
meri bend almaari mein
kuch teri yaadein band hain
kuch teri bewafayon ke saboot zabt hain
meri shelf mein rekhi hoi kitaboon mein
kuch shairi teray naam hai
aur aaj meri diary ke sefhay per
ek nazm teray naam hai.....
Barq Girti Hai To Becharay Musalmaanon Per
"Ummatein Aur Bhi Hein, Is Mein Gunaahgaar Bhi Hein
Ijz Walay Bhi Hein, Mast Maye Pandaar Bhi Hein
In Mein Kaahil Bhi Mein, Ghaafil Bhi Hein, Hushyaar Bhi Hein
Sainkroon Hein Jo Tere Naam Say Beezar Bhi Hein
Rehmatein Hein Teere Aghyaar K Kashaanon Per
Barq Girti Hai To Becharay Musalmaanon Per"

Yaad (Dashte Tanhai):
Dasht-e-tanhaee main ai jaan-e-jahaan larzaan hai
Teri aavaaz kay saaey, teray honton kay saraab
Dasht-e-tanhaee main dooree kay khas-o-khaak talay
Khil rahay hain teray pehloo kay saman or gulaab
Uth rahee hai kaheen qurbat say teri saaNs kee aanch
Apnee khushboo main sulagti hooee madham madham
Door ufaq paar chamaktee hooee qatra qatra
Gir rahee hai teri dildaar nazar kee shabnam
Is qadar payaar say ai jaan-e-jahaan rakha hai
Dil kay rukhsaar pay is waqt teri yaad nain haath
YooN gumaan hota hai gerchay hai abhee subh-e-firaaq
Dhal gaya hijr ka din aa bhi gaee wasl ki raat.
Translation:
In the wasteland of solitude, my love,
quivers shadows of your voice, illusions of your lips.
In the wasteland of solitude, from the dusts of parting
Sprout jasmines and roses of your presence
From somewhere close by,
rises the warmth of your breathand in its own aroma smolders, slowly, bit by bit.
Far-off, across the horizon, drop by glistening drop
Falls the dew of your beguiling glance.
With such overwhelming love,
O my love, your memory has placed its hand on my heart's cheek,
that it looks as if (though it's still the dawn of the adieu) the sun of parting has set;
the night of union has come.
Faiz Ahmed Faiz

Subscribe to:
Posts (Atom)