Mere Dil Ki Ye Duaa Hay
Ke Khuda Kare
Teri Zeest Ka Har Pal
Har Lamha Gulaab Hojaaye
Shaadaab Hojaaye
Teri Rooh Ki Tashnagi
Seraab Hojaaye
Teri Zaat Ka Mehwar Koi Mahtaab Hojaaye
Jin Par Barasti Hain Khuda Ki Khaas Rehmatain
Un Chend Hastiyoon Main Tera IntiKhaab Hojaaye..----(Ameen sum Ameen!!)----
Thursday, November 27, 2008
Tuesday, October 28, 2008
agar hota hum tumko
Mumkin jo agar hota hum tumko bhula daytay
Yadoon ko kafan day kar bay waqt sula daytay
Tanhayee may jee laytay tumko na sada daytay
Is dil say tayray dil tak deewar utha daytay
Sanson key hararat say sazon ko jaga daytay
Hum tumko bhula daytay..... hum tumko bhula daytay

magar wo haar jatee hay
Muhabat jeet hote hay magar wo haar jatee hay
Kabhi dil soz lamhon say kabhi baykhabar rasmon say
Kabhi taqdeer walon say kabhi majboor qasmon say
Kabhi yeh phool jayse hay kabhi yeh dhool jayse hay
kabhi yeh chand jayse hay kabhi yeh dhoop jayse hay
Kabhi masroor karte hay kabhi yeh roag dayte hay
Kise ka chain layte hay kise ko roll dayte hay
Kabhi lay paar jate hay kabhi yeh mar jate hay
Muhabat jeet hote hay magar yeh har jate hay

Sunday, October 26, 2008
Khaamoshii guftagu hai, bezubaanii hai zabaan merii
nahii minnat-kash-e-taab-e-shaniidan daastaan merii
Khaamoshii guftagu hai, bezubaanii hai zabaan merii
ye dastuur-e-zabaan-bandii hai kaisii terii mahafil mein
yahaan to baat karane ko tarastii hai zaban merii
uthaaye kuchh varaq laalay ne, kuchh naragis ne, kuchh gul ne,
chaman mein har taraf bikharii huii hai daastaan merii
uudaa lii kumariyon ne, tuutiyon ne, andaliibon ne,
chaman vaalon ne mil kar luut lii tarz-e-fugaan merii
Tapak aiy shama aansuu ban ke paravaane kii aankhon se
saraapaa dard huun, hasarat bharii hai daastaan merii
ilaahii phir mazaa kyaa hai yahaan duniyaa mein rahane kaa
hayaat-e-jaavidaan merii na marg-e-naagahaan merii...

Friday, October 17, 2008
Sab Say Chuppa Ker Dard.....!!!
Sab Say Chuppa Ker Dard, Jo Woh Muskura Diya
Us Ki Hansi Nay To Aaj Mujhay Rulla Diya
Lehjey Say Uth Raha Tha Her Ik Dard Ka Duhan
Chehra Bata Raha Tha Kay Kuch Ganwa Diya
Awaz Main Thehrao Tha Aankhon Main Nammi Thi
Aur Keh Raha Tha K Main Ne Sab Kuch Bhulla Diya
Janey Kiya Usko Logoon Sey Thein Shikayaten
Tanhaiyon Kay Dais Main Khud Ko Basa Diya
Khud Bhi Woh Hum se Bicher Ker Aadhura Sa Ho Gaya
Mujh Ko Bhi Itnay Logon Main Tanha Bana Diya...

Ab ke hum bichre ....!!!
Ab ke hum bichre to shayad kabhi khwabon mein milein
Jis tarah sookhey hue phool kitabon mein milein
Dhoond ujray hue logon mein wafa ke moti
Yeh khazane tujhe mumkin hai kharabon mein milein
Ghum-e-duniya bhi ghum-e-yaar mein shamil karloon
Nasha badhta hai sharabein jo sharabon mein milein
Tu Khudah hai na mera ishq Farishton jaisa
Dono insaan hain to kyun hijabon mein milein
Aaj hum dar yeh khainchein ge jin baaton par
Kya ajab kal woh zamane ko naseebon mein milein
Ab na woh hain, na woh tu hai, na woh mazzey hain Faraz
Jaise do shakhs tamanna ke sailabon mein milein

Meri Dastaan-e-hasarat
Meri Dastaan-e-hasarat Vo Suna Suna Ke Rooye
Mere Azmaane Vale Mujhe Azmaa Ke Rooye
Koi Aisa Ahal-e-dil Ho Ke Fasanaa-e-muhabbat
Main Use Suna Ke Roun Woh Mujhe Suna Ke Rooye
Meri Arzoo Ki Duniyaa Dil-e-naatavaan Ki Hasrat
Jise Kho Ke Shaadamaan They Use Aj Paa Ke Rooye
Teri Bewafaiyoun Per Teri Kajadaaiyon Per
Khabhi Sir Jhuka Ke Rooye Khabhi Moun Chupa Ke Rooye
Jo Sunai Anjuman Mein Shab-e-gam Ki Ap Beeti
Koi Ro Ke Muskuraye Koi Muskura Ke Rooye

Subscribe to:
Posts (Atom)