Friday, December 31, 2010

KHAB MARTAY NAHE

khab martay nahe,

khab dil hein na aankhen na sansen ki jo

reza reza huway tu bikher jaen gai..!

jism ki mout say yeh bi mar jaen gaikhab marta nahe...

khab tu roshini hen, nawa hen, hawa hen,

jo kalay pahardun say ruktay nahe.

zulm ki dozukhon say bi funk ty nahe..!

roshni aur nawa aur hawa kay alm

maqtalun mein ponch kar be joktay nahe...

khab tu harf hen,

khab tu noor hen,

khab sukraat hen,

khab mansoor hen...

Saturday, January 2, 2010

Jab tayra hukm mila tark muhabat karde

Jab tayra hukm mila tark muhabat karde
Dil magar ispay wo dhadka ki qayamat karde
Tujsay kistarha may izharay tamanna karta
Lafz socha to muaanay nay bagawat karde
May to samja tha ki loat aatay hain janay walay
Tunay jakar to judayee mayre qismat karde
Mujko dushman k iradon pay b pyar aata hay
Tayre ulfat nay muhabat mayre aadat karde
Kya tayra jism tayray husn key hiddat may jala
rakh, kisnay tayre sonay key se rangat karde

Friday, August 28, 2009

Khab Saray Khayal Sarey

khuwaab saray khayal saray
Haqeqaton ka libada oodhay
Tumhare haste sanwaar jayain
Yeh chand suraj, yeh saray taray charag jitnay bhi jal rahay hain
Tumharay chehray ka rang daikhain
To haar jayain,,,,,,,,!!!!
Yay behtee nadyainyay chaltay dharay
Yeh gehra sagaryay jheel jharnayyay
aabsharain sub apna jeewan tumhare aankhon may haar jayain
Yay rang o khushbu gulab saray
Muhabaton kay nisab saray
Yay sub tumharee balayain lay lay
Nazar tumharee utaar jayain

Thursday, April 16, 2009

Wohi Shaks Meri Talaash hai

Wohi Shaks Meri Talaash hai ,
wohi dard meri hayaat hai
Jo Chala gaya Mujhey Chorh Kar,
Wohi Aaj Tak meray saath hai

Jo Na Mil saka Wohi Bewafa ,
Ye Bari Ajeeb si baat hai
Jo chala gaya mujhay Chorh kar ,
Wohi Aaj tak Meray Saath hai

Karay Pyar Lub Per Gila Na Hoo,
Ye Kisi Kisi Ka Naseeb hai
Ye Karam Hai Iski Jifa Nahin ,
Woh Juda Bhi Reh Kar Kareeb Hai

Wohi Ankh hai Meray Rubaroo,
Ussi Haath main Mera Haath hai
Jo Chala gaya Mujhey Chorh Kar,
Wohi Aaj Tak meray saath hai

Mera naam tak jo na lesaka,
jo mujhe qaraar na de saka
Jisaay Ikhtiayaar Tu tha Magar,
Mujhay apna Pyar na Dey saka

Jo Na Mil saka Wohi Bewafa ,
Ye Bari Ajeeb si baat hai
Jo chala gaya mujhay Chorh kar ,
Wohi Aaj tak Meray Saath hai

Jo Kisi Nazar Say Ata hui,
Wohi Roshni hai Khayal main
Woh Na asakay, Rahoon Muntazir,
Ye Khalish Kahan Thee Visaal main

Meri Justujoo Ko Khabar Nahin,
Na Woh Din Rahay Na Raat Rahay
Jo Chala Gaya Mujhay Chorh Kar,
Wohi Aaj Tak Meray Saath Hai

Thursday, November 27, 2008

Mere Dil Ki Ye Duaa Hay

Mere Dil Ki Ye Duaa Hay
Ke Khuda Kare
Teri Zeest Ka Har Pal
Har Lamha Gulaab Hojaaye
Shaadaab Hojaaye
Teri Rooh Ki Tashnagi
Seraab Hojaaye
Teri Zaat Ka Mehwar Koi Mahtaab Hojaaye
Jin Par Barasti Hain Khuda Ki Khaas Rehmatain
Un Chend Hastiyoon Main Tera IntiKhaab Hojaaye..----(Ameen sum Ameen!!)----

Tuesday, October 28, 2008

agar hota hum tumko

Mumkin jo agar hota hum tumko bhula daytay
Yadoon ko kafan day kar bay waqt sula daytay
Tanhayee may jee laytay tumko na sada daytay
Is dil say tayray dil tak deewar utha daytay
Sanson key hararat say sazon ko jaga daytay
Hum tumko bhula daytay..... hum tumko bhula daytay

magar wo haar jatee hay

Muhabat jeet hote hay magar wo haar jatee hay
Kabhi dil soz lamhon say kabhi baykhabar rasmon say
Kabhi taqdeer walon say kabhi majboor qasmon say
Kabhi yeh phool jayse hay kabhi yeh dhool jayse hay
kabhi yeh chand jayse hay kabhi yeh dhoop jayse hay
Kabhi masroor karte hay kabhi yeh roag dayte hay
Kise ka chain layte hay kise ko roll dayte hay
Kabhi lay paar jate hay kabhi yeh mar jate hay
Muhabat jeet hote hay magar yeh har jate hay