Saturday, January 2, 2010

Jab tayra hukm mila tark muhabat karde

Jab tayra hukm mila tark muhabat karde
Dil magar ispay wo dhadka ki qayamat karde
Tujsay kistarha may izharay tamanna karta
Lafz socha to muaanay nay bagawat karde
May to samja tha ki loat aatay hain janay walay
Tunay jakar to judayee mayre qismat karde
Mujko dushman k iradon pay b pyar aata hay
Tayre ulfat nay muhabat mayre aadat karde
Kya tayra jism tayray husn key hiddat may jala
rakh, kisnay tayre sonay key se rangat karde